Saturday

Maloom kissai, lahu apna is qadar lazeez hai...



Maloom kissai, lahu apna is qadar lazeez hai,
Teri bewafai, teri berukhi, mujhe aaj bhi azeez hai,

Rangat uski chand jaisi, gulabi uske hont hain,
Andhere jaisa dil mera aur kali meri kameez hai,

Gham-e-ishq main ager peete ho tou jurm likha nahi jaata,
Loh-o-kalam ko bhi aakhir, muhabat ki tameez hai,

Shab-e-vasl aai gi jab, Hassan tab he tera ilaaj hoga,
Kai tu jaam ka nahi Saqi ki nazar ka mareez hai,

Who knew that one's own blood could be this delicious?
Your betrayal, your aloofness, till today I desire it,

Her countenance is moon like, rose pink are her lips,
Like the dark night is my heart, black is the color of my shirt,

If you drink in the sorrow of love, your sin is not written,
Even the Book and the Pen, know to respect love,

When the night of reunion comes, only then will you heal Hassan,
For your disease is not the drink but the sight of the Saqi,

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...