Sunday

Umer bhar ki zindagi main, chaar din jawani hai...



Umer bhar ki zindagi main, chaar din jawani hai,
Tumhari berukhi aqalmandi, meri aashiqi nadani hai,

Ankhon main mukhlisi, niyyaton main pakeezgi,
Muhabbat ki humse talash unko aur konsi nishani hai,

Yeh fasalai unke aur phir shok-e-visal hamara,
Ishq-e-yar dil main, aur soorat-e-yar anjani hai,

Talab rakhna hamara aur unka alam-e-baifikri,
Azal se yaktarfi ibteda-e-muhabbat ki pehchani hai,

Ghazal kai saghar main jis mai ki talash hai unko,
Lafzon kai pairhan main, ashqon ki kahani hai,

In a life time of living, only four days of youth,
Your aloofness is your shrewdness, my love is my innocence,

Sincerity in my eyes, purity in my intentions,
What other signs of love do they seek from us?

These distances of your and my desire to meet,
The beloveds love in my heart, the beloveds face unknown,

For us to posses desire and their state of carelessness,
Since eternity unrequited emotion has been a sign of love's beginning,

In the goblet of the Ghazal, the wine that they seek,
In a garment of words, the stories of our tears,

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...