Saturday

Ghazal: Dard Bhi Bikta Hai Bazar Main



Hum dil jalon ki kismat main tapish-e-afraab aai,
Aur hazrat-e-raqeeb k naseeb noor-e-mehtab aai,

Sehraon ki barish jaisi hai yaad bhi tumhari,
Jo kabhi naa aai ya aai tou behisaab aai,

Namanzori bhi manzor hai is berukhi k badlay,
Lekin paigham-e-mubbat ka koi tou jawab aai,

Uski bewafai k waswason ko yun bhula deta hon,
Aakhir jo khayal aai mujhe hamesha kharab aai,

Ehtaram khoob kerte hain hum unki pardadari ka,
Jaag uthta main jo khuab main woh beniqaab aai,

Dard bhi bikta hai bazar main ghazal ki surat,
Kon inkar kerai jo aansuon ki sharab aai,

ENGLISH TRANSLATION

Burned hearted like us are destined to the sun's scorching,
And my gentleman rival is destined to the moon's light,

Like the desert rain is your memory,
It does not occur and when it does, it is limitless,

A denial is preferred over this indifference of yours,
At least give some answer to my message of love,

I forget the doubts I have, of them acting unfaithfully,
By thinking what thought have I had that is not useless,

Much respect do I have, for there desire to remain hidden,
Wake up I do when in my dreams they come uncovered,

Even pain is sold in the market in the form of a ghazal,
Who does not drink when the wine is made of tears?

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...