Saturday

Ghazal: Paishbandi se pareshan, dil-e-masoom bekarar ab hai,


Ghazal: Paishbandi se pareshan, dil-e-masoom bekarar ab hai,

Paishbandi se pareshan, dil-e-masoom bekarar ab hai,
Intezar tak bhi kerne ka mujhe intezar ab hai,

Mutashabih hai roz-e-qayamat se shab-e-vasal bhi,
Kai aanai main faqt waqt ki davar ab hai,

Sabab barbaadi ka adawat nahi, unki sharafat thi,
Ahd-e-wafa pehle kia aur pyar ab hai

Zilat aamez ho ker rukhsat kiya jaata tha unki mehfil se,
Teher jao thori aur dair, unka asrar ab hai,

Na tha naseeb uski gali ka kutta mujh badkismat ko Qais,
Mehaz mera tasuvur he mera madadgar ab hai!
-->

My anticipation frustrates me, my innocent heart is restless,
Eagerly I wait for the opportunity to await her arrival,

The day of the apocalypse is like the night of lovers union,
The only thing keeping them apart now is the wall of time,
The cause of my ruin was not her malice, but her innocence,
The promise of her faithfulness was given before her love,

Earlier we would be cast out humiliated from her festive gathering,
Wait just a little longer before you leave, she says to me now,

It was not in my destiny to kiss the dogs on her street Qais*,
The imagination of her dogs will have to suffice for me!

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...